Be-dam hue bimar dawa kyun nahin dete

FAIZ AHMAD FAIZ

Written in Lahore Jail-December 31,1958

Be-dam hue bimar dawa kyun nahin dete 
RECITATIONS be-dam hue bīmār davā kyuuñ nahīñ dete

tum achchhe masīhā ho shifā kyuuñ nahīñ dete

dard-e-shab-e-hijrāñ kī jazā kyuuñ nahīñ dete

ḳhūn-e-dil-e-vahshī kā silā kyuuñ nahīñ dete

miT jā.egī maḳhlūq to insāf karoge

munsif ho to ab hashr uThā kyuuñ nahīñ dete

haañ nukta-varo laao lab o dil kī gavāhī

haañ naġhmagaro sāz-e-sadā kyuuñ nahīñ dete

paimān-e-junūñ hāthoñ ko sharmā.egā kab tak

dil vaalo garebāñ kā patā kyuuñ nahīñ dete

barbādī-e-dil jabr nahīñ ‘faiz’ kisī kā

vo dushman-e-jāñ hai to bhulā kyuuñ nahīñ dete.

Advertisements

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out / Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out / Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out / Change )

Google+ photo

You are commenting using your Google+ account. Log Out / Change )

Connecting to %s